टाटा ग्रुप desh ka no.1 group of comapny me se ek hai ye group hamesa consumer को better product ya services deni ki kosis karta है और इन्विस्टर को मस्त return देता है chahe oo टाटा ग्रुब ki TCS हो, Titan हो या Tata Electric इन्होंने कई योंको करोड़पती बनाया .
इसी टाटा ग्रुब का लास्ट IPO आया था 25 august 2004 में TCS जोकि देश की सबसे बड़ी IT कंपनी का था
आज की रेट में उस time ki listing value से 34 गुना बड़ ho चुका है aur 19 साल ke baad अब उसी टाटा ग्रुप का एक naya ipo aa raha है Tata Technologies.
Tata Technology ka jo GMP hai Means ( Gray Market Price) oo 300 se upper ja chuka hai iska matlab ye hai iska jo IPO hai oo 300 premium se upper me list ho sakta hai, yani issme jo lsiting gain ki chances hai hai oo 70% ka hai.
Ab GMP hota kya hai to ye koi official price nai hota hai lekin iske basis pe hm pata laga sakte hai ki ek particular ipo me response kaisa ho sakta hai.
Aur aap jante hi hai tata technologies ke IPO ka hype market bht jayda hai aur oversubscribed hone ke chances v jayda hai lekin agar ye oversubscibed ho jata hai tab v isme listing gain ho sakte hai.
Par aap itni si bat dekh ke iss IPO me invest mat kar dena, phele iske bare me kuch jaruri bat jan lijye kyoki issme kuch negative points v hai jo apke liye janna karuri hai.
To sbse phele is company ke bare me jan le ye comapny ki shuruat kab hui thi aur ye karti kya haiTata Tech ki surruat 1989 me hui thi lekn duniya to kheti hai company 1994 me bani thi basically dono hi sahi hai..1989 me jab iski shuruat hui thi tab ye company Tata motors ke under hi work karti thi par ye ek seperate division tha jo sirf tata motors ko technological service deti thi
Lekn 4-5 sall baad jab ye company bht hi acchi service dene lagi tab tata motors ne socha ki ye jo service sirf hm de rahe hai oo kyo na tata group ke baki company ko v mile aur tata group ki comapnio ko hi sirf kyo baki aur v companiya jo service lena chahe usko v dena chaiye.
To inhone 1994 me isko Tata Motors se seperate kare ke seperate company bana di Tata Group me.
Ab bate karte ye company karti kya hai to ye company ka main work E & RD service means ( Engg & Research Development) means suppose karo apki company ek peroduct banane ja rahi aur apko samjh nai aa raha hai ki issme kya features hone chaiye, kaisi desing honi chiaye, kaisi enggnearing hone chaiye matlb kya cheej jo abi bana nai hai oo zero se final tak (means end to end) kaisa banega aur agar koi product apki bani hui hai to usko aur kaise better hona banay jana chaiye , consumer ke liye aur kaise easy to use hoga, aur kaise fast hoga ye sabi service deti hai tata technologies.
Ye company abhi tak sirf manufacturing company ko deti hai service like jo company manufacture karte hai jaise ki automotive manufacturing, heavy machinery manufacturing, aerospace manufacturing and aur v different manufacturing industries me.
Ab aate video ke main mudde pe
To Iss company ka 57% revenue top 5 clients se aata hai.jo ki kissi v compny ke liye ek threats mani jat Sakti hai. Aur iss company ka 69% revenue sirf automative industries se hai jo ki ek cyclic sector hai.
Ab company ki revenue ki bat kare to
Ab bat karte hai Tata Technologies IPO dates ki
IPO तारीख: 22 से 24 नवंबर
प्राइस बैंड: 475-500 रुपए/ शेयर
इश्यू साइज: 3042.5 करोड़ रुपए
लॉट साइज: 30 शेयर
न्यूनतम निवेश: 15,000 रुपए
Allotment Date: 30th Nov
Credit of share to demat Account: 4th Dec
Announcement of trading: 5th Dec
Refund: 1st Dec
13th nov se phele apke pass ek v tata motors ka share hai to apko listing gain milne ka chances jayda hai
Waise company ka gray market premium accha hai to 80% chances hai listing gain karne ka
Ye to bataya maine company ke threats or IPO ke bare me ab bat aati hai company ki opportunity ki
To comapny diversify kar rahi hai… comapny e-learning and upskilling ke tarf v focus kar rahi hai matlab ye apni main revenue in segments ke through v karne ki focus kar rahi hai.
Company jo ane waale startup hai jo manufacturing ke ander kam karnege, jo auto segment ke ander kam karnege, jo energy sector me kam karenge unke liye company services provide karenge
To anne walle time company ka grow hone ka chances aur jayda hai
infact pichle 5 years ka data dekha jaye to 15% ka growth bi dekha gya hai inke engg. & research company se aaur aane walle time expectations hai ki isse jyda percentage ka growth ho sakta hai.
To aane walle time me company ke opportunities hai aur ye tata group ki hai to phr bat hi alag hai but threads ko aap ignore nai kar sakte.
To finally iss video se aapko ye to samjh me aagya hoga ki listing me invest kar sakte hai ya nai aur isse apko mauka v mil sakta hai accha profit earn karne ka.
Yaad rahe, investments risk ke saath aati hain, isliye kisi bhi financial decision se pehle acchi tarah research karna zaroori hai. Aapke investment journey mein all the best!"
Agar apko video acchi lagi ho aur informative lagi ho to please channel ko subscribe kare and video ko like kare and comment kare ki aapko next konsi IPO ki analysis dekhna hai.
Tab tak ke liye dosto jai hind jai bharat.


Post a Comment